
Pyar ke sajde mai maine khud ko yun lutaya hain,
Ab tujhse kya kahen ki maine khud ko kitna jalaya hain,
Tumhe to na thi kadar meri,
Pr na jane maine khud ko kyun itna rulaya hain,
na jane pyar ke sajde mai maine khud ko yun lutaya hain,

Pal pal teri yaden aati hain,
Jab wo aati hai to aansoun ki barsaten sang lati hain,
En aansoun se hi maine teri yaadon ko bahlaya hain,
Tune to jalaye nafraton ke diye,
Pr na jane abhi bhi kyun maine dilon mai pyaar ka phool khilaya hai,
Ab tujse kya kahen ki maine khud ko kyun itna jalaya hai.....!